tum nain ke donon paT mere liye wa rakhna
main jald hi lauTunga darwaza khula rakhna
jo kahna ho kah Dalo ho jaega ji halka
jo baat hai kahne ki dil mein use kya rakhna
hai zinda-dili daulat sab KHarch na kar dena
shayad kabhi kaam aae thoDi si bacha rakhna
halki si kami karna kal kamre ki zinat mein
taswir haTa dena aaina laga rakhna
saman-e-safar pyare kya sath na lun kya lun
ek shab ka musafir hun kya chhoDna kya rakhna
qiston mein 'nazir' un se haal-e-gham-e-dil kahna
kuchh aaj suna dena kuchh kal pe uTha rakhna
Ghazal
Tum nain ke donon paT mere liye wa rakhna
Nazeer Banarasi