اردو हिंदी
Tum nahin samjhe kabhi inki zaban | Shaahi Shayari
tum nahin samjhe kabhi inki zaban

Ghazal

Tum nahin samjhe kabhi inki zaban

Kirti Ratan Singh

;

tum nahin samjhe kabhi in ki zaban
daman-e-gul mangti hain titliyan

aaj bhi aurat ke hisse aag hai
kitni bhi be-shak hon us pe degreeyan

puchh baiThe the tumhin kal rok kar
warna kyun hum kholte apni zaban

kar le KHidmat ab to tu man bap ki
aur bas kuchh rose hain ye jism-o-jaan

tum bhale kitna bhi us ko kos lo
mamta mein man na khole hai zaban

ho sakega dard sar ka kam tabhi
god mein rakh kar jo man de thapkiyan

is 'ratan' ne ji liye kitne bharam
aap is ka zikr hi chhoDo miyan