tum munh laga ke ghairon ko maghrur mat karo
lag chalna aise deson se dastur mat karo
Taswe baha ke har ghaDi zari nahin hai KHub
ye raaz-e-ishq hai use mashhur mat karo
har-chand dil dukhana kisi ka bura hai par
ranjida KHatiron ko to ranjur mat karo
ai hamdamo jo mujh se hai manzur iKHtilat
juz zikr-e-yar tum koi mazkur mat karo
raushan rakho jahan mein maula misal-e-mehr
chanda ke munh se nur ko tum dur mat karo
Ghazal
Tum munh laga ke ghairon ko maghrur mat karo
Mah Laqa Chanda