tum meri aankh ke tewar na bhula paoge
an-kahi baat ko samjhoge to yaad aaunga
hum ne KHushiyon ki tarah dukh bhi ikaTThe dekhe
safha-e-zist ko palToge to yaad aaunga
is judai mein tum andar se bikhar jaoge
kisi mazur ko dekhoge to yaad aaunga
isi andaz mein hote the muKHatib mujh se
KHat kisi aur ko likkhoge to yaad aaunga
meri KHushbu tumhein kholegi gulabon ki tarah
tum agar KHud se na bologe to yaad aaunga
aaj to mahfil-e-yaran pe ho maghrur bahut
jab kabhi TuT ke bikhroge to yaad aaunga

Ghazal
Tum meri aankh ke tewar na bhula paoge
Wasi Shah