اردو हिंदी
Tum le ke apne hath mein KHanjar na dekhna | Shaahi Shayari
tum le ke apne hath mein KHanjar na dekhna

Ghazal

Tum le ke apne hath mein KHanjar na dekhna

Mirza Mayal Dehlvi

;

tum le ke apne hath mein KHanjar na dekhna
aur dekhna to tan pe mere sar na dekhna

dushman bhi mere sath hi aata hai bazm mein
tum ko qasam hai aankh uTha kar na dekhna

gar dekhte nahin ho nadamat se jaur ki
tum ab to dekh lo dam-e-mahshar na dekhna

dil par rahegi naqsh ye be-mehriyan teri
jaana aur is tarah se ki muD kar na dekhna

'mail' jo tauba karte ho kaisa hi abr ho
phir aankh uTha ke shisha-o-saghar na dekhna