اردو हिंदी
Tum kya sahab aur tumhaari baat hai kya | Shaahi Shayari
tum kya sahab aur tumhaari baat hai kya

Ghazal

Tum kya sahab aur tumhaari baat hai kya

Zakir Khan Zakir

;

tum kya sahab aur tumhaari baat hai kya
dharti ki aakash tale auqat hai kya

sirf junun hai us ke siwa ye kuchh bhi nahin
pyar na dekhe nasl hai kaisi zat hai kya

puchh rahi hain ruTh ke jati KHushiyan bhi
jit se pahle jiwan path par mat hai kya

hum kya jaanen hum ne andhera oDh liya
is ki ada kya KHwahish kya jazbaat hai kya

baKHt ka tara sham se pahle Dub gaya
raat gae ab taron ki baraat hai kya

tere sare KHwab hi 'zakir' bhig chuke
dil ki zamin par ashkon ki barsat hai kya