اردو हिंदी
Tum kuchh bhi karo hosh mein aane ke nahin hum | Shaahi Shayari
tum kuchh bhi karo hosh mein aane ke nahin hum

Ghazal

Tum kuchh bhi karo hosh mein aane ke nahin hum

Farhat Ehsas

;

tum kuchh bhi karo hosh mein aane ke nahin hum
hain ishq gharane ke zamane ke nahin hum

hum aur mohabbat ke siwa kuchh nahin karte
wo ruTh gaya hai to manane ke nahin hum

dariya hai mohabbat to mile jism ka maidan
ek jism pyale mein samane ke nahin hum

hum par bhi kabhi apni halakat ki nazar Dal
sach jaan ki jaan apni bachane ke nahin hum

kitna hi kare shor yahan aa ke zamana
tujh par se magar dhyan haTane ke nahin hum

ye jism faqat ek taraf ka hai musafir
ja kar phir usi jism mein aane ke nahin hum

pas aao ki hum kha to nahin jaenge tum ko
bas dant dikhane ke hain khane ke nahin hum

'ehsas'-miyan pir hain murshid hain hamare
ab uTh ke yahan se kahin jaane ke nahin hum