tum ko main jab salam karta hun
tab fughan gam gam karta hun
ghuncha-o-gul ki KHasta-haali ka
zikr mein subh-o-sham karta hun
be-sutun kaT kar khaDa hun main
kohkan jaise kaam karta hun
aatish-e-ishq jab jalati hai
jal ke main nosh-e-jam karta hun
sher hota nahin hai jab 'babar'
us ka kuchh ehtimam karta hun
Ghazal
Tumko main jab salam karta hun
Babar Rahman Shah