tum ko hum KHak-nashinon ka KHayal aane tak
shahr to shahr badal jaenge virane tak
dekhiye mahfil-e-saqi ka natija kya ho
baat shishe ki pahunchne lagi paimane tak
us jagah bazm saqi ne biThaya hai hamein
hath phailaen to jata nahin paimane tak
subh hoti nahin ai ishq ye kaisi shab hai
qais o farhad ke dohra liye afsane tak
phir na tufan uThenge na giregi bijli
ye hawadis hain gharibon hi ke miT jaane tak
main ne har-chand bala Talni chahi lekin
shaiKH ne sath na chhoDa mera mai-KHane tak
wo bhi kya din the ki ghar se kahin jate hi na the
aur gae bhi to faqat sham ko mai-KHane tak
main wahan kaise haqiqat ko salamat rakkhun
jis jagah radd-o-badal ho gae afsane tak
baghban fasl-e-bahaar aane pe wada to qubul
aur agar hum na rahe fasl-e-bahaar aane tak
aur to kya kahun ai shaiKH teri himmat par
koi kafir hi gaya ho tere mai-KHane tak
ai 'qamar' sham ka wada hai wo aate honge
sham kahlati hai taron ke nikal aane tak
ai qamar subh hui ab to uTho mahfil se
shama gul ho gai ruKHsat hue parwane tak
Ghazal
Tumko hum KHak-nashinon ka KHayal aane tak
Qamar Jalalvi