tum ko agar hamari mohabbat nahin rahi
hum ko bhi ab adu se adawat nahin rahi
har ek ada pe marne ki aadat nahin rahi
wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi
mazmun-e-muddaa abhi dil mein hi tha mere
kahte hain ab to tab-e-samaat nahin rahi
wan hai wahi wufur-e-itab-o-jafa-o-qahr
yan naz bhi uThane ki taqat nahin rahi
be-shak naqab-e-ruKH se uThaya kisi ne aaj
zulmat-kade mein mere jo zulmat nahin rahi
'mushtaq' tere ishq ki hai dhum aaj-kal
ab qais-o-kohkan ki wo shohrat nahin rahi
Ghazal
Tumko agar hamari mohabbat nahin rahi
Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi