tum KHafa kya hue hayat gai
jaan taskin-e-kaenat gai
jab se murjha gai hai dil ki kali
raunaq-e-gulshan-e-hayat gai
saqiya sirf apne apnon par
bas teri chashm-e-iltifat gai
hae be-chaargi-e-fikr-o-nazar
wo bhi ta-hadd-e-mumkinat gai
ek aansu ki tarjumani se
azmat-e-gham ki sari baat gai
dard-e-dil mein hui hai jab se kami
kya kahen lazzat-e-hayat gai
hum hi hum the kabhi nigahon mein
ab kahan hai wo pahli baat gai
chain ab bhi kahan hai dil ko 'waqar'
be-qarari mein sari baat gai
Ghazal
Tum KHafa kya hue hayat gai
Waqar Bijnori