اردو हिंदी
Tum kabhi mail-e-karam na hue | Shaahi Shayari
tum kabhi mail-e-karam na hue

Ghazal

Tum kabhi mail-e-karam na hue

Hans Raj Sachdev u0027hazii.nu0027

;

tum kabhi mail-e-karam na hue
meri qismat ke dur gham na hue

ashk-rezi se hum hue be-dam
tere daman ke tar nam na hue

hum ne taur-e-wafa nahin badla
tere zulm-o-sitam bhi kam na hue

thak gae rah ki saubat se
mere sathi mere qadam na hue

raste mein jo thak ke baiTh gae
zindagi-bhar wo taza-dam na hue

multafit wo rahe zamane par
morid-e-lutf ek hum na hue

jin ki KHatir 'hazin' uThae gham
wo bhi apne sharik-e-gham na hue