اردو हिंदी
Tum kab the qarib itne main kab dur raha hun | Shaahi Shayari
tum kab the qarib itne main kab dur raha hun

Ghazal

Tum kab the qarib itne main kab dur raha hun

Baqi Siddiqui

;

tum kab the qarib itne main kab dur raha hun
chhoDo na karo baat ki main tum se KHafa hun

rahne do ki ab tum bhi mujhe paDh na sakoge
barsat mein kaghaz ki tarah bhig gaya hun

sau bar girah de ke kisi aas ne joDa
sau bar main dhage ki tarah TuT chuka hun

jaega jahan tu meri aawaz sunega
main chor ki manind tere dil mein chhupa hun

ek nuqte pe aa kar bhi ham-ahang nahin hain
tu apna fasana hai to main apni sada hun

chheDo na abhi shaKH-e-shikasta ka fasana
Thahro main abhi raqs-e-saba dekh raha hun

manzil ka pata jis ne diya tha mujhe 'baqi'
us shaKHs se raste mein kai bar mila hun