tum jo aaoge to mausam dusra ho jaega
lu ka jhonka bhi chalega to saba ho jaega
zindagi mein qatl kar ke tujh ko nikla tha magar
kya KHabar thi phir tera hi samna ho jaega
nafraton ne har taraf se gher rakkha hai hamein
jab ye diwaren girengi rasta ho jaega
aandhiyon ka kaam chalna hai gharaz is se nahin
peD par patta rahega ya juda ho jaega
kya KHabar thi ai amir-e-shahr tere daur mein
sans lena jurm jina hadsa ho jaega
aap paida to karen dast-e-hunar phir dekhiye
aap ke hathon mein patthar aaina ho jaega
mere honTon pe hansi aa kar rahegi ai 'ali'
ek din ye waqia bhi dekhna ho jaega
Ghazal
Tum jo aaoge to mausam dusra ho jaega
Ali Ahmad Jalili