اردو हिंदी
Tum jalwa dikhao to zara parda-e-dar se | Shaahi Shayari
tum jalwa dikhao to zara parda-e-dar se

Ghazal

Tum jalwa dikhao to zara parda-e-dar se

Amjad Najmi

;

tum jalwa dikhao to zara parda-e-dar se
hum thak gae nazzara-e-KHurshid-o-qamar se

majbur-e-numaish nahin kuchh husn hi un ka
hum bhi to hain majbur taqaza-e-nazar se

bachhDa hua jaise koi milte hi lipaT jae
yun tir tera aa ke lipaTta hai jigar se

kaTte nahin kyun sham-e-judai ke ye lamhe
milti nahin kyun zulmat-e-shab ja ke sahar se

karna hai kisi din use ham-dosh-e-surayya
hai aah abhi tak meri mahrum asar se

ho jaen hamesha ke liye aap jo mere
main mang lun kuchh umr yahan umr-e-KHizar se

aisa to na kar paega koi bhi fusun-kar
wo kar gae jo sadgi-e-husn-e-nazar se

aasuda-e-manzil nahin aagah-e-saubat
mahrum hai wo lazzat-e-duri-e-safar se