tum jaante ho kis liye wo mujh se gaya laD
ai hamdam-e-man us ke kahin aur lagi laD
us ne shajar-e-dosti ab dil se ukhaDa
kahne se raqibon ke hai fitne ki bandhi jaD
us but ko kahan pahunchen but aazar ke tarashe
hath apne se tayyar kare jis ko KHuda ghaD
dil-doz nigah yar ki hoti hai muqabil
barchhi ki ani si mere sine mein gai gaD
KHajlat se tu phir samne aankhen na karega
ai abr mere girya ki jis waqt lagi jhaD
KHat ka ye jawab aaya ki qasid gaya ji se
sar ek taraf loTe hai aur ek taraf dhaD
rindon ne ewaz wisme ke nura jo lagaya
paki ki tarah shaiKH ki daDhi bhi gai jhaD
tirchhi nigah us ki ki hua koi na aaDe
sine ko sipar kar ke rahe ek hamin aD
sahra-e-junun se 'muhib' us zulf ki zanjir
phir pech mein le aai mujhe panw mere paD
Ghazal
Tum jaante ho kis liye wo mujhse gaya laD
Waliullah Muhib