tum ho jo kuchh kahan chhupaoge
likhne walo nazar to aaoge
jab kisi ko qarib paoge
zaiqa apna bhul jaoge
aaina hairaton ka KHwab nahin
KHud se aage bhi KHud ko paoge
ye hararat lahu mein kai din ki
KHud-baKHud us ko bhul jaoge
aandhiyan roz mujh se puchhti hain
ghar mein kis din diya jalaoge
saya roke hue hai rah-e-safar
tum ye diwar kab giraoge
ab jo aae bhi tum to kya hoga
KHud dikhoge mujhe dikhaoge
yahi hoga ki tum dar-e-jaan par
dastaken de ke lauT jaoge
wo jo ek shaKHs mujh mein zinda tha
us ko zinda kahan se laoge
aise mausam guzar gae hain ki ab
mujh ko bhi mujh sa tum na paoge
jo lahu mein diye jalati thin
aisi shamen kahan se laoge
KHwahishon ke hisar mein ghir kar
rasta ghar ka bhul jaoge

Ghazal
Tum ho jo kuchh kahan chhupaoge
Ummeed Fazli