اردو हिंदी
Tum ho jo kuchh kahan chhupaoge | Shaahi Shayari
tum ho jo kuchh kahan chhupaoge

Ghazal

Tum ho jo kuchh kahan chhupaoge

Ummeed Fazli

;

tum ho jo kuchh kahan chhupaoge
likhne walo nazar to aaoge

jab kisi ko qarib paoge
zaiqa apna bhul jaoge

aaina hairaton ka KHwab nahin
KHud se aage bhi KHud ko paoge

ye hararat lahu mein kai din ki
KHud-ba-KHud us ko bhul jaoge

aandhiyan roz mujh se puchhti hain
ghar mein kis din diya jalaoge

saya roke hue hai rah safar
tum ye diwar kab giraoge

ab jo aae bhi tum to kya hoga
KHud dikhoge mujhe dikhaoge

yahi hoga ki tum dar-e-jaan par
dastaken de ke lauT jaoge

wo jo ek shaKHs mujh mein zinda tha
us ko zinda kahan se laoge

aise mausam guzar gae hain ki ab
mujh ko bhi mujh sa tum na paoge

jo lahu mein diye jalati thin
aisi shamen kahan se laoge

KHwahishon ke hisar mein ghir kar
rasta ghar ka bhul jaoge