اردو हिंदी
Tum harim-e-naz mein baiThe ho begane bane | Shaahi Shayari
tum harim-e-naz mein baiThe ho begane bane

Ghazal

Tum harim-e-naz mein baiThe ho begane bane

Figar Unnavi

;

tum harim-e-naz mein baiThe ho begane bane
justuju mein ahl-e-dil phirte hain diwane bane

sab ko saqi ne nahin baKHsha dil-e-dard-ashna
jitne ahl-e-zarf the utne hi paimane bane

jalwa-e-husn aur soz-e-ishq donon ek hain
shama ki lau thartharane hi se parwane bane

mauj-e-tufan-KHez uTh kar chhin le sahil ki aas
naKHuda ke aate aate kya KHuda jaane bane

dam-ba-KHud hai tere aage e'tibar-e-aql-o-hosh
hosh wale jab baDhe had se to diwane bane

dekh le zahid meri raushan-zamiri ki numud
ek aaine se kitne aaina-KHane bane

ai 'figar' afsana-e-dair-o-haram ka zikr kya
is haqiqat ke na jaane kitne afsane bane