اردو हिंदी
Tum hamare ho hum tumhaare hain | Shaahi Shayari
tum hamare ho hum tumhaare hain

Ghazal

Tum hamare ho hum tumhaare hain

Afzal Allahabadi

;

tum hamare ho hum tumhaare hain
jaise dariya ke do kinare hain

ruThe ruThe se sab nazare hain
ek hamin hain jo gham ke mare hain

wo milate nahin nazar hum se
aur kahte hain hum tumhaare hain

hausla hai hamare dil mein abhi
hum kahan zindagi se haare hain

kya bataen ki teri furqat mein
kis tarah hum ne din guzare hain

us ko meri kami satae kyun
jis ke daman mein chand tare hain

hum ko 'afzal' hai aasra us ka
kaise kah den ki be-sahaare hain