اردو हिंदी
Tum hamare dil-e-shaida ko nahin jaante kya | Shaahi Shayari
tum hamare dil-e-shaida ko nahin jaante kya

Ghazal

Tum hamare dil-e-shaida ko nahin jaante kya

Bekhud Dehlvi

;

tum hamare dil-e-shaida ko nahin jaante kya
aur ghairon ki tamanna ko nahin jaante kya

kahin hota bhi hai jaan-baKHsh lab-e-ahd-shikan
tere is jhuTe masiha ko nahin jaante kya

pahle dil tham lo phir aaina tum hath mein lo
apne husn-e-ruKH-e-zeba ko nahin jaante kya

kar na den us ko mukaddar kahin aah-e-'beKHud'
aap us aaina-sima ko nahin jaante kya