tum gulistan se gae ho to gulistan chup hai
shaKH-e-gul khoi hui murgh-e-KHush-ilhan chup hai
ufuq-e-dil pe dikhai nahin deti hai dhanak
gham-zada mausam-e-gul abr-e-bahaaran chup hai
aalam-e-tishnagi-e-baada-gusaran mat puchh
mai-kada dur hai mina-e-zar-e-afshan chup hai
aur aage na baDha qissa-e-dil qissa-e-gham
dhaDkanen chup hain sarishk-e-sar-e-mizhgan chup hai
shahr mein ek qayamat thi qayamat na rahi
hashr KHamosh hua fitna-e-dauran chup hai
na kisi aah ki aawaz na zanjir ka shor
aaj kya ho gaya zindan mein ki zindan chup hai

Ghazal
Tum gulistan se gae ho to gulistan chup hai
Makhdoom Mohiuddin