tum gae sath ujalon ka bhi jhuTa Thahra
roz-o-shab apna muqaddar hi andhera Thahra
yaad karte nahin itna to dil-e-KHana-KHarab
bhula-bhaTka koi do roz agar aa Thahra
koi ilzam nasim-e-sahari par na gaya
phul hansne pe KHatawar akela Thahra
pattiyan rah gain bu le uDi aawara saba
qafila mauj-e-bahaaran ka bas itna Thahra
roz nazron se guzarte hain hazaron chehre
samne dil ke magar ek hi chehra Thahra
waqt bhi sai-e-madawa-e-alam kar na saka
jab se tum bichhDe ho KHud waqt hai Thahra Thahra
dil hai wo mom mila hai jise shamon ka gudaz
ab koi dekhe na dekhe yunhi jalna Thahra
tum ne jo shama jalai thi na bujhne pae
ab to le-de ke yahi kaam hamara Thahra
gunguna lenge ghazal aaj 'wahid'-aKHtar ki
nam lena hi jo dar-parda tumhaara Thahra

Ghazal
Tum gae sath ujalon ka bhi jhuTa Thahra
Waheed Akhtar