اردو हिंदी
Tum bhi nigah mein ho adu bhi nazar mein hai | Shaahi Shayari
tum bhi nigah mein ho adu bhi nazar mein hai

Ghazal

Tum bhi nigah mein ho adu bhi nazar mein hai

Hijr Nazim Ali Khan

;

tum bhi nigah mein ho adu bhi nazar mein hai
duniya hamare dida-e-hasrat-nagar mein hai

han jaante hain jaan ka KHwahan tumhin ko hum
malum hai ki tegh tumhaari kamar mein hai

kya rashk hai ki ek ka hai ek muddai
tum dil mein ho to dard hamare jigar mein hai

go ghair ki baghal mein sahi wo pari-jamal
main to yahi kahunga ki meri nazar mein hai

donon ne dard-e-ishq ko taqsim kar liya
thoDa sa dil mein hai to zara sa jigar mein hai

main bhi hun aaj main ki bar aai murad-e-dil
dil bhi hai aaj dil ki wo mehman ghar mein hai

mamnun hun KHayal ka apne shab-e-firaq
jo samne nazar ke nahin wo nazar mein hai

dilbar ho ek tum ki hamari nazar mein ho
dil hai hamara dil ki tumhaari nazar mein hai

kahte hain jis ko dil mere pahlu mein ab kahan
hai bhi to paemal kisi rahguzar mein hai

dekho to dekhte hain tumhein kis nigah se
hasrat hai jis ka nam hamari nazar mein hai

jis par paDi pasij gaya mom ho gaya
Dubi hui nigah hamari asar mein hai

jachta nahin nigah mein koi hasin bhi 'hijr'
jab se kisi ki chand si surat nazar mein hai