اردو हिंदी
Tum bhi aaoge mere ghar jo sanam kya hoga | Shaahi Shayari
tum bhi aaoge mere ghar jo sanam kya hoga

Ghazal

Tum bhi aaoge mere ghar jo sanam kya hoga

Mushafi Ghulam Hamdani

;

tum bhi aaoge mere ghar jo sanam kya hoga
mujh par ek raat karoge jo karam kya hoga

ek aalam ne kiya hai safar-e-mulk-e-adam
hum bhi jawenge agar su-e-adam kya hoga

dam-e-ruKHsat hai mera aaj meri baalin par
tum agar waqfa karoge koi dam kya hoga

dekh us chaak-e-gareban ko to ye kahti hai subh
jis ka sina hai ye kuchh us ka shikam kya hoga

chain ho jaega dil ko mere az-rah-e-karam
meri aankhon pe rakhoge jo qadam kya hoga

sohbat-e-ghair ka inkar to karte ho wale
khaoge tum jo mere sar ki qasam kya hoga

shana ek umr se karta hai do-waqti KHidmat
tujh ko malum hai ai dida-e-nam kya hoga

'mushafi' wasl mein us ke jo mua jata ho
us pe ayyam-e-judai mein sitam kya hoga