tum aziz aur tumhaara gham bhi aziz
kis se kis ka gila kare koi
mane-e-arz mujh ko pas-e-wafa
un ko zid iltija kare koi
tum taghaful-shiar dil mayus
aah kya hausla kare koi
gham-e-dil ab kisi ke bas ka nahin
kya dawa kya dua kare koi
kaun sunta hai gham-nasibon ki
kis ke dar par sada kare koi
KHair sun lo mera fasana-e-gham
ye to kah doge kya kare koi
saKHt mushkil hai sharh-e-dard-e-nihan
kis tarah ibtida kare koi
jis ko dekho wo hai wafa-dushman
kis se ahd-e-wafa kare koi
KHatm jaur-o-jafa hai marg-e-wafa
kash phir ibtida kare koi
lutf-e-tazir jab ho jaan-e-hayat
kyun na 'hadi' KHata kare koi
Ghazal
Tum aziz aur tumhaara gham bhi aziz
Hadi Machlishahri