tum apni zaban KHali kar ke ai nukta-waro pachhtaoge
main KHub samajhta hun us ko jo baat mujhe samjhaoge
ek main hi nahin hun tum jis ko jhuTa kah kar bach jaoge
duniya tumhein qatil kahti hai kis ko kis ko jhuTlaoge
ya rahat-e-dil ban kar aao ya aafat-e-dil ban kar aao!
pahchan hi lunga main tum ko jis bhes mein bhi tum aaoge
har baat bisat-e-alam mein manind-e-sada-e-gumbad hai
auron ko bura kahne walo tum KHud bhi bure kahlaoge
phir chain na paoge 'aKHtar' is dard ki mari duniya mein
is dar se agar uTh jaoge dar, dar ki Thokar khaoge
Ghazal
Tum apni zaban Khaali kar ke ai nukta-waro pachhtaoge
Akhtar Muslimi