tum apne mariz-e-gham-e-hijran ki KHabar lo
saunpa hai agar dard to darman ki KHabar lo
hanste ho abas haal-e-pareshan pe hamare
apni to zara zulf-e-pareshan ki KHabar lo
yun aur mujhe KHalq mein bad-nam karoge
bas hosh sambhaalo bhi gareban ki KHabar lo
kis kaam ye aaegi masihai tumhaari
ehsan karo aashiq-e-be-jaan ki KHabar lo
phaile hue surme ko to rumal se puchho
kya waza hai ye nargis-e-fatan ki KHabar lo
kahta hai yahi tum se 'shuur'-e-jigar-afgar
saunpa hai agar dard to darman ki KHabar lo
Ghazal
Tum apne mariz-e-gham-e-hijran ki KHabar lo
Shuoor Balgirami