tum agar chaho kabhi biphra samundar dekhna
chaudhwin mein tum meri aankhon ka manzar dekhna
jo hawale se mere mahfil mein pahchane gae
zikr par mere unhi logon ke tewar dekhna
zaKHm gin kar kya karoge kar-e-jaan-sozi hai ye
jo paDe honge abhi raste mein patthar dekhna
log kahte hain ki tum patthar ho insan to nahin
ab to majburan paDega tum ko chhu kar dekhna
aaj tak bhi maslahat-koshi hamein aai nahin
hai yahi to ek KHami apne andar dekhna
us ko ab hum zulm samjhen ya ki gham-KHwari teri
KHud rulana aur phir hamdard ban kar dekhna
ye na ho ki na-mukammal hi rahe manzil ka KHwab
tez-raftari mein lag jati hai Thokar dekhna
jab khaDe honge ye sab firaun mulzim ki tarah
wo adalat jo lagegi roz-e-mahshar dekhna
Ghazal
Tum agar chaho kabhi biphra samundar dekhna
Murtaza Birlas

