اردو हिंदी
Tum achchhe the tumko ruswa humne kiya | Shaahi Shayari
tum achchhe the tumko ruswa humne kiya

Ghazal

Tum achchhe the tumko ruswa humne kiya

Tauseef Tabassum

;

tum achchhe the tum ko ruswa hum ne kiya
phir kahna, kya tum ne kaha, kya hum ne kiya

aansu sare palkon hi mein jazb hue
dariya ko taswir-e-dariya hum ne kiya

ai mere dil tanha dil chup chup rahna
pahle bhi to shor kiya, kya hum ne kiya

naqsh-garo! kab hum ne manzar badla hai
chandi baal aur chehra sona hum ne kiya

aansu ne dil ka har dagh miTa Dala
pani se phir naqsh huwaida hum ne kiya

KHak jo sahra sahra uDti phirti thi
sar mein Dali, ek tamasha hum ne kiya

baad apne ab kaun bhala yan aaega
apne nam pe KHatm ye KHutba hum ne kiya