اردو हिंदी
TukDa jahan gira jigar-e-chaak-chaak ka | Shaahi Shayari
TukDa jahan gira jigar-e-chaak-chaak ka

Ghazal

TukDa jahan gira jigar-e-chaak-chaak ka

Mushafi Ghulam Hamdani

;

TukDa jahan gira jigar-e-chaak-chaak ka
yaqut sa damakne laga rang KHak ka

le jate hain uTha ke malak us ki nash ko
ye martaba hai tegh-e-nigah ke halak ka

ai baghban na mujh se ho aazurda main chala
ek dam KHush aa gaya tha mujhe saya tak ka

milne mein kitne garm hain ye hae dekhiyo
kushta hun main to shola-ruKHon ke tapak ka

ai shola apni garm-rawi par na bhuliyo
aalam hai aur aah-e-dil-e-soz-nak ka

aata hai apne kushte ki turbat pe jab wo shoKH
ek nara wan se nikle hai ruhi-fidak ka

shukr-e-KHuda ki nam hai ismat ka 'mushafi'
roz-e-jaza gawah mere ishq-e-pak ka