اردو हिंदी
Tuk ek ai nasim sambhaal le ki bahaar mast-e-sharab hai | Shaahi Shayari
Tuk ek ai nasim sambhaal le ki bahaar mast-e-sharab hai

Ghazal

Tuk ek ai nasim sambhaal le ki bahaar mast-e-sharab hai

Insha Allah Khan u0027Inshau0027

;

Tuk ek ai nasim sambhaal le ki bahaar mast-e-sharab hai
wo jo husn-e-alam-e-nashsha hai use ab ki ain-shabab hai

wo ghaTaen chhain jo kaliyan jo hari-bhari huin Daliyan
ubhar aain phulon ki laliyan to bajae aab-e-shahab hai

ye do-roza nashw-o-numa ko tu na samajh ki naqsh-e-pur-ab se
ye sarab hai ye habab hai faqat ek qissa-e-KHwab hai

araq-e-bahaar-e-sharab hai wo hi aaj chhiDkenge aap par
na to bed-e-mushk hai is ghaDi na to kewDa na gulab hai

unhen kahne sunne se bair hai jo KHud aaen so to ba-KHair hai
ye gharaz ki zor hi sair hai na sawal hai na jawab hai

kidhar aaun jaun karun so kya mera ji hi nak mein aa gaya
na to arz-e-haal ki tab hai na to sabr-e-KHana-KHarab hai

mujhe wahsh-o-tair se rashk hai ki kabhi unhon ko kisi namat
na sawal hai na jawab hai na azab hai na iqab hai

meri baat man suna dila na to arz o farz pe ji chala
koi un ko Toke so kya bhala ki wo aali un ki janab hai

are 'insha' ab jo ye daur hai teri waza in dinon aur hai
ye bhi koi zist ka taur hai na sharab hai na kabab hai