Tuk honT hilaun to ye kahta hai na bak be
aur pas jo baiThun to sunata hai sarak be
kahta hun kabhi ghar mein mere aa to hai kahta
chaukhaT pe hamari koi din sar to paTak be
jab badr nikalta hai to kahta hai wo maghrur
kah do use yan aan ke itna na chamak be
parda jo ulaT dunga abhi munh se to dam mein
uD jaegi chehre ki tere sab ye jhamak be
sab bankpan ab tera 'nazir' ishq ne khoya
kya ho gai sach kah wo teri dut dubak be
Ghazal
Tuk honT hilaun to ye kahta hai na bak be
Nazeer Akbarabadi