Tuk aankh milate hi kiya kaam hamara
tis par ye ghazab puchhte ho nam hamara
tum ne to nahin KHair ye farmaiye bare
phir kin ne liya rahat-o-aram hamara
main ne jo kaha aaiye mujh pas to bole
kyun kis liye kis waste kya kaam hamara
rakhte hain kahin panw to paDte hain kahin aur
saqi tu zara hath to le tham hamara
Tuk dekh idhar ghaur kar insaf ye hai wah
ho jurm o gunah ghair se aur nam hamara
ai baad-e-saba mahfil-e-ahbab mein kahiyo
dekha hai jo kuchh haal tah-e-dam hamara
gar waqt-e-sahar jaiye hota hai ye irshad
hai waqt-e-mulaqat sar-e-sham hamara
phir sham ko aae to kaha subh ko yunhi
rahta hai sada aap par ilzam hamara
sar-gashtagi-e-marhala-e-shauq mein ai ishq
paDta hai nai waza se har gam hamara
ai barhamn-e-dair mohabbat mein sanam ki
allah hi baqi rakhe islam hamara
hum kucha-e-dildar ke hote hain tasadduq
ai sheKH-e-haram hai yahi ehram hamara
betabi-e-dil ke sabab us shoKH tak 'insha'
pahunche hai bila wasta paigham hamara
Ghazal
Tuk aankh milate hi kiya kaam hamara
Insha Allah Khan u0027Inshau0027