tujhe zara dukh aur sisakne wala main
teri udasi dekh na sakne wala main
tere badan mein chingari si kya shai hai
aks zara sa aur chamakne wala main
tere lahu mein bedari si kya shai hai
lams zara sa aur mahakne wala main
teri ada mein purkari si kya shai hai
baat zara si aur jhijakne wala main
rangon ka ek bagh-e-hasin chehra tera
kya kya dekhun aankh jhapakne wala main
sang nahin hun baat na manun mausam ki
hua zara si aur lachakne wala main
safar mein tanha qadam uThana mushkil hai
sath tumhaare kabhi na thakne wala main
Ghazal
Tujhe zara dukh aur sisakne wala main
Rajinder Manchanda Bani

