اردو हिंदी
Tujhe sang-dil ye pata hai kya ki dukhe dilon ki sada hai kya | Shaahi Shayari
tujhe sang-dil ye pata hai kya ki dukhe dilon ki sada hai kya

Ghazal

Tujhe sang-dil ye pata hai kya ki dukhe dilon ki sada hai kya

Kaleem Aajiz

;

tujhe sang-dil ye pata hai kya ki dukhe dilon ki sada hai kya
kabhi choT tu ne bhi khai hai kabhi tera dil bhi dukha hai kya

tu rais-e-shahr-e-sitam-garan main gada-e-kucha-e-ashiqan
tu amir hai to bata mujhe main gharib hun to bura hai kya

tu jafa mein mast hai roz-o-shab main kafan-ba-dosh ghazal-ba-lab
tere roab-e-husn se chup hain sab main bhi chup rahun to maza hai kya

ye kahan se aai hai surKH-ru hai har ek jhonka lahu lahu
kaTi jis mein gardan-e-arzu ye usi chaman ki hawa hai kya