tujhe rab kahe koi wahguru tu kahin KHuda kahin ram hai
ye hain ek nam ki barkaten hamein nam lene se kaam hai
teri marifat ki sharab mein wo surur-o-kaif-e-dawam hai
mai-e-talKH mein bhala kya maza mai-e-talKH pina haram hai
hai haram kya to halal kya ye hamare dil pe hai munhasir
jise chahe dil to halal hai jo na chahe dil to haram hai
mere dil mein teri hi yaad hai tu basa hua hai KHayal mein
hai zaban pe teri hi guftugu mere lab pe tera hi nam hai
wo kisi bhi qaum ka bhai ho karo koshishen ki bhalai ho
kisi baat pe na laDai ho yahi ambiya ka payam hai
teri bargah-e-niyaz mein pae sajda sainkaDon sar jhuken
tu rahim hai tu karim hai tu hi sab ka pesh-imam hai
wo faqir ho ki amir ho ki ho baadshah mere KHuda
ho kisi ka koi bhi martaba yahan jo hai tera ghulam hai
wo karim hai wo rahim hai wo fahim hai wahi kibriya
bas usi ki shan azim hai bas usi ka aali maqam hai
ai 'nahif' tujh ko main kya kahun tujhe dil se kaise bhula sakun
teri sidhi sadi si guftugu tera sidha sada kalam hai
Ghazal
Tujhe rab kahe koi wahguru tu kahin KHuda kahin ram hai
Julius Naheef Dehlvi