tujhe pa ke tujh se juda ho gae hum
kahan kho diya tu ne kya ho gae hum
mohabbat mein ek saneha ho gae hum
abhi the abhi jaane kya ho gae hum
mohabbat to KHud husn hai husn kaisa
ye kis wahm mein mubtala ho gae hum
ye kya kar diya inqilab-e-mohabbat
zara aaina la ye kya ho gae hum
haqiqat mein banda bhi banna na aaya
samajhte hain dil mein KHuda ho gae hum
qayamat tha tujh se nigahon ka milna
zamane se na-ashna ho gae hum
na ras aain aaKHir hamein ThanDi sansen
ajab saz the be-sada ho gae hum
tasawwur mein bal paD gae abruon par
ye kis bewafa se KHafa ho gae hum
gudaz-e-mohabbat hamein dil bana de
bas ek aanch aur aabla ho gae hum
kabhi bazm-e-hasti ki raunaq hamin the
'siraj' ab bujha sa diya ho gae hum
Ghazal
Tujhe pa ke tujhse juda ho gae hum
Siraj Lakhnavi

