tujhe kya naseha ahbab KHud samjhae jate hain
idhar tu khae jata hai udhar wo khae jate hain
chaman walon se ja kar ai nasim-e-subh kah dena
asiran-e-qafas ke aaj par kaTwae jate hain
kahin beDi aTakti hai kahin zanjir ulajhti hai
baDi mushkil se diwane tere dafnae jate hain
unhen ghairon ke ghar dekha hai aur inkar hai un ko
main baaten pi raha hun aur wo qasmen khae jate hain
KHuda mahfuz rakkhe nala-ha-e-sham-e-furqat se
zamin bhi kanpti hai aasman tharrae jate hain
koi dam ashk thamte hi nahin aisa bhi kya rona
'qamar' do-chaar din ki baat hai wo aae jate hain
Ghazal
Tujhe kya naseha ahbab KHud samjhae jate hain
Qamar Jalalvi

