اردو हिंदी
Tujhe kya KHabar mere ham-safar mera marhala koi aur hai | Shaahi Shayari
tujhe kya KHabar mere ham-safar mera marhala koi aur hai

Ghazal

Tujhe kya KHabar mere ham-safar mera marhala koi aur hai

Darshan Singh

;

tujhe kya KHabar mere ham-safar mera marhala koi aur hai
mujhe manzilon se gurez hai mera rasta koi aur hai

meri chahaton ko na puchhiye jo mila talab se siwa mila
meri dastan hi ajib hai mera masala koi aur hai

ye hawas ke bande hain naseha na samajh sake mera muddaa
mujhe pyar hai kisi aur se mera dil-ruba koi aur hai

mera zauq-e-sajda hai zahiri ki hai kashmakash meri zindagi
ye guman dil mein raha sada mera muddaa koi aur hai

wo rahim hai wo karim hai wo nahin ki zulm kare sada
hai yaqin zamane ko dekh kar ki yahan KHuda koi aur hai

main chala kahan se KHabar nahin ki safar mein hai meri zindagi
meri ibtida kahin aur hai meri intiha koi aur hai

mera nam 'darshan'-e-KHasta-tan mere dil mein koi hai zau-fagan
main hun gum kisi ki talash mein mujhe DhunDhta koi aur hai