tujhe kya KHabar mere be-KHabar mera silsila koi aur hai
jo mujhi ko mujh se baham kare wo gurez-pa koi aur hai
mere mausamon ke bhi taur the mere barg-o-bar hi aur the
magar ab rawish hai alag koi magar ab hawa koi aur hai
yahi shahr shahr-e-qarar hai to dil-e-shikasta ki KHair ho
meri aas hai kisi aur se mujhe puchhta koi aur hai
ye wo majra-e-firaq hai jo mohabbaton se na khul saka
ki mohabbaton hi ke darmiyan sabab-e-jafa koi aur hai
hain mohabbaton ki amanaten yahi hijraten yahi qurbaten
diye baam-o-dar kisi aur ne to raha basa koi aur hai
ye faza ke rang khule khule isi pesh-o-pas ke hain silsile
abhi KHush-nawa koi aur tha abhi par-kusha koi aur hai
dil-e-zud-ranj na kar gila kisi garm o sard raqib ka
ruKH-e-na-saza to hai ru-ba-ru pas-e-na-saza koi aur hai
bahut aae hamdam o chaara-gar jo numud-o-nam ke ho gae
jo zawal-e-gham ka bhi gham kare wo KHush-ashna koi aur hai
ye 'nasir' sham-e-supurdagi ki udas udas si raushni
ba-kanar-e-gul zara dekhna ye tumhi ho ya koi aur hai
Ghazal
Tujhe kya KHabar mere be-KHabar mera silsila koi aur hai
Naseer Turabi