tujhe kya hua hai bata ai dil na sukun hai na qarar hai
kabhi us hasin ki chah hai kabhi us nigar se pyar hai
jo samajh mein aae wo baat kya ye muamalat hain ishq ke
ki naqab ruKH pe rahe magar hai yaqin ye wahi yar hai
ye hain apne zehn ke aks sab yahan asl kya hai KHayal kya
ye KHizan ke rang hain be-KHabar to samajh raha hai bahaar hai
wo bhala sa nam tha kya kahun mujhe KHud bhi yaad nahin raha
meri zindagi ke qarib mein wo jo ek musht-e-ghubar hai
safar-e-talash-e-sukun mein baDhe aur dard ke silsile
mujhe manzilon ki KHabar nahin yahan sirf dasht hain KHar hai
mujhe dard aisa hai chaaragar yahi puchh bas ke kahan nahin
ye yahan wahan ka sawal kya ki jigar mein mere sharar hai
tu hai gharq dahr mein sar talak hai yahin ke sud ki fikr bas
tera zohd kaisa ajib hai ki faqat sharab se aar hai
Ghazal
Tujhe kya hua hai bata ai dil na sukun hai na qarar hai
sulaiman ahmad mani