tujhe kuchh bhi KHuda ka tars hai ai sang-dil tarsa
hamara dil bahut tarsa are tarsa na ab tarsa
main us par mubtala wo ghair mazhab shoKH ab tarsa
qayamat hai musalman aashiq aur mashuq hai tarsa
faqat tir-e-nigah se to na dil ki aarzu nikli
tere qurban laga ab ke koi is se bhi behtar sa
na jaun main to us ke pas lekin kya karun yaro
yakayak kuchh jigar mein aa ke lag jata hai nashtar sa
pukara dur se de kar safir us ne to kya mera
dhaDak kar yak-ba-yak sine mein dil loTa kabutar sa
hua bimar tere ishq mein jo charKH-e-chaarum par
masiha paDh raha hai kuchh bichha kar apna bistar sa
'nazir' ek do gile karne bahut hote hain KHuban se
chalo ab chup raho bas khol baiThe tum to daftar sa
Ghazal
Tujhe kuchh bhi KHuda ka tars hai ai sang-dil tarsa
Nazeer Akbarabadi