اردو हिंदी
Tujhe kis tarah chhuDaun KHalish-e-gham-e-nihan se | Shaahi Shayari
tujhe kis tarah chhuDaun KHalish-e-gham-e-nihan se

Ghazal

Tujhe kis tarah chhuDaun KHalish-e-gham-e-nihan se

Fiza jalandharii

;

tujhe kis tarah chhuDaun KHalish-e-gham-e-nihan se
dil-e-be-qarar laun unhen DhunDh kar kahan se

wo bahaar kash aae wo chale hawa-e-dil-kash
ki qafas pe phul barsen meri shaKH-e-ashiyan se

kabhi qafile se aage kabhi qafile se pichhe
na main karwan mein shamil na juda hun karwan se

mere baad ki bahaaren meri yaadgar hongi
ki khilenge phul akasr meri KHak-e-raegan se

abhi muskura rahi thin meri aarzu ki kaliyan
mujhe le chala muqaddar su-e-dam aashiyan se

jo jabin mein tha amanat mera shauq-e-jubba-sai
wo lipaT ke rah gaya hai tere sang-e-astan se

mili lamha-bhar bhi fursat na 'faza'-e-gham-zada ko
wo baras rahe hain fitne shab-o-roz aasman se