اردو हिंदी
Tujhe kho kar mohabbat ko ziyaada kar liya maine | Shaahi Shayari
tujhe kho kar mohabbat ko ziyaada kar liya maine

Ghazal

Tujhe kho kar mohabbat ko ziyaada kar liya maine

Sajjad Baluch

;

tujhe kho kar mohabbat ko ziyaada kar liya main ne
ye kis hairat mein aaina kushada kar liya main ne

mujhe pechida jazbon ki kahani nazm karna thi
so jitna ho saka uslub sada kar liya main ne

mohabbat ka suna tha zat ki takmil karti hai
magar is aarzu mein KHud ko aadha kar liya main ne

shikast-e-KHwab par hi KHwab ki buniyaad rakhna thi
dar-e-imkan phir se istada kar liya main ne

nai rut mein mohabbat ka iada chahta tha wo
purane tajarbe se istifada kar liya main ne

sar-e-sahil mujhe pichhe se ab aawaz mat dena
yahan se par jaane ka irada kar liya main ne