tujhe KHabar ho to bol ai mere sitara-e-shab
meri samajh mein to aata nahin ishaara-e-shab
use main ek musalsal charagh kar deta
meri giraft mein hota jo istiara-e-shab
main ek charagh kahan tak muzahimat karta
mere KHilaf tha kitna baDa idara-s-shab
bahut se chand bahut se charagh kam nikle
banane baiTha jo main raat goshwara-e-shab
kisi bhi subh ka marham asar nahin karta
ki har sahar hai yahan dusra kinara-e-shab
Ghazal
Tujhe KHabar ho to bol ai mere sitara-e-shab
Farhat Ehsas