tujhe KHabar hai tujhe yaad kyun nahin karte
KHuda pe naz KHuda-zad kyun nahin karte
ajab ki sabr ki miad baDhti jati hai
ye kaun log hain fariyaad kyun nahin karte
ragon mein KHun ke manind hai sukut ka zahr
koi mukalima ijad kyun nahin karte
mere suKHan se KHafa hain to ek rose mujhe
kisi tilism se barbaad kyun nahin karte
ye hadsa hai ki shole mein jaan hai meri
mujhe charagh se aazad kyun nahin karte
Ghazal
Tujhe KHabar hai tujhe yaad kyun nahin karte
Saqi Faruqi