tujhe kaise ilm na ho saka baDi dur tak ye KHabar gai
tere shahr hi ki ye shaera tere intizar mein mar gai
koi baaten thin koi tha sabab jo main wada kar ke mukar gai
tere pyar par to yaqin tha main KHud apne aap se Dar gai
wo tere mizaj ki baat thi ye mere mizaj ki baat hai
tu meri nazar se na gir saka main teri nazar se utar gai
hai KHuda gawah tere bina meri zindagi to na kaT saki
mujhe ye bata ki mere bina teri umr kaise guzar gai
wo safar ko apne tamam kar, gai raat aaenge lauT kar
ye 'nasim' main ne suni KHabar to main sham hi se sanwar gai
Ghazal
Tujhe kaise ilm na ho saka baDi dur tak ye KHabar gai
Mumtaz Naseem