tujhe dil mein basaenge tere hi KHwab dekhenge
miTenge teri chahat mein wafa ke bab dekhenge
ye aankhen yar ke didar ki pyasi hain muddat se
wo aaen baam par to jalwa-e-mahtab dekhenge
KHumar-e-KHud-parasti bhi kabhi utrega maujon ka
to phir ai qulzum-e-hasti tujhe payab dekhenge
rasai jo teri mahfil talak ek bar ho jae
tujhe nazdik se ai gauhar-e-nayab dekhenge
suna hai nind ke aalam mein wo masrur lagte hain
to phir KHwabon mein us zalim ko mahw-e-KHwab dekhenge
tere nam-o-nasab se kya gharaz ai dushman-e-jaanan
mile zaKHmon se fursat to tere alqab dekhenge
koi musa-sifat aa kar Duboe zulm ka lashkar
tabhi hum aaj ke firaun ko gharqab dekhen dekhenge
lab-e-sahil se dekhe hain nazare 'shad' maujon ke
junun-o-shauq ki zid hai ki ab girdab dekhenge
Ghazal
Tujhe dil mein basaenge tere hi KHwab dekhenge
Shmashad shad