اردو हिंदी
Tujhe dekha meri aankhon mein jab shadabiyan aain | Shaahi Shayari
tujhe dekha meri aankhon mein jab shadabiyan aain

Ghazal

Tujhe dekha meri aankhon mein jab shadabiyan aain

Monika Singh

;

tujhe dekha meri aankhon mein jab shadabiyan aain
teri be-mehr aankhon mein tabhi be-zariyan aain

na jaane aur kya kya kah rahi thi wadiyan mujh se
tera jab zikr chheDa tha ajab KHamoshiyan aain

hisar-e-yas ki jaanib sadaen aa rahi garche
mahz chehre nahin aae kai parchhaiyan aain

hamein shohrat bulandi tak agar le ke chali aai
magar sae tale is ke kai nakaamiyan aain

nahin hai ishq pahla sa na pahli si kashish baqi
magar ab sath jine ki kai majburiyan aain